Ali Sardar Jafri

ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum

Ali Sardar Jafri

Balrampur, Uttar pradesh, India

1913-2000

ishq naġhma junūñ ke saaz par gaate haiñ ham

apne ġham aañch se patthar ko pighlāte haiñ ham

jaag uThte haiñ to suulī par bhī niiñd aatī nahīñ

vaqt paḌ jaa.e to añgāroñ pe so jaate haiñ ham

zindagī ko ham se baḌh kar kaun kar saktā hai pyaar

aur agar marne pe aa jaa.eñ to mar jaate haiñ ham

dafn ho kar ḳhaak meñ bhī dafn rah sakte nahīñ

lāla-o-gul ban ke vīrānoñ pe chhā jaate haiñ ham

ham ki karte haiñ chaman meñ ehtimām-e-rañg-o-bū

rū-e-getī se naqāb-e-husn sarkāte haiñ ham

aks paḌte sañvar jaate haiñ chehre ke nuqūsh

shāhid-e-hastī ko yuuñ ā.īna dikhlāte haiñ ham

mai-kashoñ ko muzhda sadiyoñ ke pyāsoñ ko naved

apnī mahfil apnā saaqī le ke ab aate haiñ ham

Top Urdushayar.com