ye  be-kas-o-be-qarār  chehre
sadiyoñ  ke  ye  sogvār  chehre
miTTī  meñ  paḌe  damak  rahe  haiñ
hīroñ  kī  tarah  hazār  chehre
le  jā  ke  inheñ  kahāñ  sajā.eñ
ye  bhuuk  ke  shikār  chehre
africa-o-asia  kī  zīnat
ye  nādir-e-rozgār  chehre
khoī  huī  azmatoñ  ke  vāris
kal  raat  ke  yādgār  chehre
ġhāze  se  safed  mai  se  rañgīñ
is  daur  ke  dāġhdār  chehre
guzre  haiñ  nigāh-o-dil  se  ho  kar
har  tarah  ke  be-shumār  chehre
maġhrūr  anā  ke  ghoñsle  meñ
baiThe  hue  kam-ayār  chehre
qābil-e-iltifāt  āñkheñ
nā-qābil-e-e'tibār  chehre
in  sab  se  hasīn-tar  haiñ  lekin
rindoñ  ke  gunāhgār  chehre