vahī  hai  vahshat  vahī  hai  nafrat  āḳhir  is  kā  kyā  hai  sabab
insāñ  insāñ  bahut  raTā  hai  insāñ  insāñ  banegā  kab
ved  upnishad  purze  purze  giitā  qur.āñ  varaq  varaq
rām-o-kirishn-o-gautam-o-yazdāñ  zaḳhm-rasīda  sab  ke  sab
ab  tak  aisā  milā  na  koī  dil  kī  pyaas  bujhātā  jo
yuuñ  mai-ḳhāna-chashm  bahut  haiñ  bahut  haiñ  yuuñ  to  sāqī-lab
jis  kī  teġh  hai  duniyā  us  kī  jis  kī  lāThī  us  kī  bhaiñs
sab  qātil  haiñ  sab  maqtūl  haiñ  sab  mazlūm  haiñ  zālim  sab
ḳhanjar  ḳhanjar  qātil  abrū  dilbar  haath  masīhā  hoñT
lahū  lahū  hai  shām-e-tamannā  aañsū  aañsū  sub.h-e-tarab
dekheñ  din  phirte  haiñ  kab  tak  dekheñ  phir  kab  milte  haiñ
dil  se  dil  āñkhoñ  se  āñkheñ  haath  se  haath  aur  lab  se  lab
zaḳhmī  sarhad  zaḳhmī  qaumeñ  zaḳhmī  insāñ  zaḳhmī  mulk
harf-e-haq  kī  salīb  uThā.e  koī  masīh  to  aa.e  ab