kabhī  ḳhandāñ  kabhī  giryāñ  kabhī  raqsā  chaliye
duur  tak  saath  tire  umr-e-gurezāñ  chaliye
rasm-e-derīna-e-ālam  ko  badalne  ke  liye
rasm-e-derīna-e-ālam  se  gurezāñ  chaliye
āsmānoñ  se  barastā  hai  añdherā  kaisā
apnī  palkoñ  pe  liye  jashn-e-charāġhāñ  chaliye
shola-e-jāñ  ko  havā  detī  hai  ḳhud  bād-e-sumūm
shola-e-jāñ  kī  tarah  chāk-garebāñ  chaliye
aql  ke  nuur  se  dil  kījiye  apnā  raushan
dil  kī  rāhoñ  se  sū-e-manzil-e-insāñ  chaliye
ġham  na.ī  sub.h  ke  taare  kā  bahut  hai  lekin
le  ke  ab  parcham-e-ḳhurshīd-e-daraḳhshāñ  chaliye
sar-ba-kaf  chalne  kī  aadat  meñ  na  farq  aa  jaa.e
kūcha-e-dār  meñ  sar-mast-o-ġhazal-ḳhvāñ  chaliye