ik  sub.h  hai  jo  huī  nahīñ  hai
ik  raat  hai  jo  kaTī  nahīñ  hai
maqtūloñ  kā  qaht  paḌ  na  jaa.e
qātil  kī  kahīñ  kamī  nahīñ  hai
vīrānoñ  se  aa  rahī  hai  āvāz
taḳhlīq-e-junūñ  rukī  nahīñ  hai
hai  aur  hī  kārobār-e-mastī
jī  lenā  to  zindagī  nahīñ  hai
saaqī  se  jo  jaam  le  na  baḌh  kar
vo  tishnagī  tishnagī  nahīñ  hai
āshiq-kushī  o  fareb-kārī
ye  sheva-e-dilbarī  nahīñ  hai
bhūkoñ  kī  nigāh  meñ  hai  bijlī
ye  barq  abhī  girī  nahīñ  hai
dil  meñ  jo  jalā.ī  thī  kisī  ne
vo  sham-e-tarab  bujhī  nahīñ  hai
ik  dhuup  sī  hai  jo  zer-e-mizhgāñ
vo  aañkh  abhī  uThī  nahīñ  hai
haiñ  kaam  bahut  abhī  ki  duniyā
shā.ista-e-ādmī  nahīñ  hai
har  rañg  ke  aa  chuke  haiñ  fir.aun
lekin  ye  jabīñ  jhukī  nahīñ  hai