dhuāñ  dhuāñ  haiñ  nigāhoñ  kī  bastiyāñ  kyā  kyā
chamak  rahī  haiñ  ḳhayāloñ  kī  bijliyāñ  kyā  kyā
bhañvar  kī  aañkh  se  takte  hī  rah  ga.e  tūfāñ
pahuñch  ga.ī  haiñ  kināroñ  pe  kashtiyāñ  kyā  kyā
milegī  merī  bhī  kisht-e-nazar  ko  sairābī
har  ek  samt  uchhaltī  haiñ  naddiyāñ  kyā  kyā
mirī  nigāh  ke  dāman  ko  khīñch  letī  haiñ
tire  ḳhayāl  kī  gul-posh  vādiyāñ  kyā  kyā
sharāb-ḳhāne  ke  dīvār-o-dar  damak  uTThe
chhalak  paḌīñ  mire  sāġhar  se  bijliyāñ  kyā  kyā
suḳhan  ke  shor  meñ  suntā  nahīñ  koī  lekin
diloñ  meñ  guuñj  rahī  haiñ  kahāniyāñ  kyā  kyā
'nadīm'  sho.abada-e-zindagī  se  āḳhir-kār
lahak  rahī  haiñ  nigāhoñ  meñ  khetiyāñ  kyā  kyā