badan  ko  phūñktī  haiñ  naġhma-ḳhvāniyāñ  pyāre
surūd-e-ishq  na  chheḌeñ  javāniyāñ  pyāre
ye  barg-e-zard  ki  bikhre  paḌe  haiñ  rāhoñ  meñ
yahī  haiñ  mausam-e-gul  kī  nishāniyāñ  pyāre
qadam  qadam  ġham-e-hijrāñ  kī  be-panāhī  meñ
sunā  rahī  hai  mohabbat  kahāniyāñ  pyāre
koī  umiid  na  hotī  to  jī  bahal  jaatā
rulā  rahī  haiñ  tirī  mehrbāniyāñ  pyāre
charāġh-e-hijr  jalātī  rahī  haiñ  saarī  raat
sharīk-e-hāl  mirī  ḳhūñ-fishāniyāñ  pyāre
khilā  rahī  haiñ  gul-e-zaḳhm  dīda-o-dil  meñ
karishma-sāz  tirī  dilsitāniyāñ  pyāre
har  ik  taraf  se  lapaktā  hai  dil  pe  kauñdā  sā
ki  tere  husn  kī  haiñ  qahar-māniyāñ  pyāre
dikhā  rahī  haiñ  tujhe  be-shumār  ā.īne
mirī  nigāh  kī  ye  bad-gumāniyāñ  pyāre
tujhe  kuchh  aur  bhī  afsurda  dekhte  haiñ  'nadīm'
tujhe  to  raas  nahīñ  shādmāniyāñ  pyāre