ġham  huuñ  jo  apne  aap  meñ  ristā  dikhā.ī  de
dariyā  meñ  Duub  kar  hī  kinārā  dikhā.ī  de
dekho  jo  ġhaur  se  kabhī  chehroñ  kī  vahshateñ
ābādiyoñ  meñ  bhī  tumheñ  sahrā  dikhā.ī  de
sūraj  kī  raushnī  meñ  kabhī  apnī  samt  dekh
tārīkiyoñ  meñ  kyā  tujhe  saaya  dikhā.ī  de
nazroñ  meñ  bas  gayā  mire  dil  meñ  utar  gayā
sūrat  se  ajnabī  ki  jo  apnā  dikhā.ī  de
ḳhvāboñ  ke  sāhiloñ  kī  taraf  dekhtā  hai  kaun
chaḌhtā  huā  jo  dard  kā  dariyā  dikhā.ī  de
is  shahr-e-be-charāġh  meñ  chehra  vo  chāñd  sā
aa.e  jo  apne  sāmne  kaisā  dikhā.ī  de
kohrām  sā  hai  siine  ke  andar  machā  huā
ḳhushiyoñ  se  baaġh  baaġh  ye  chehra  dikhā.ī  de
kyā  qahr  hai  jo  raunaq-e-mahfil  thā  ai  'nadīm'
vo  shaḳhs  shahar-bhar  meñ  akelā  dikhā.ī  de