Saqib Lakhnavi

kaun in lakhon adaon mein mujhe pyari nahin

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946

kaun in lākhoñ adāoñ meñ mujhe pyārī nahīñ

naam luuñ kis kis mujh ko ek bīmārī nahīñ

aag kitnī le ke niklā thā mirā dūd-e-jigar

vo fazā hai kaun jis meñ koī chiñgārī nahīñ

yaas se kyuuñ dekhte haiñ dost ai āzār-e-dil

pūchhte haiñ kyā mujhe to koī bīmārī nahīñ

haath rakh kar ik zarā dekho tap-e-ġham asar

ye tumhārā jalāyā dil hai chiñgārī nahīñ

dil ne rag rag se chhupā rakkhā hai terā rāz-e-ishq

jis ko kah de nabz aisī merī bīmārī nahīñ

qaid ho kar maiñ ne kholī ham-safīroñ zabāñ

kis gulistāñ meñ mirā zikr-e-giraftārī nahīñ

Top Urdushayar.com