dobāra  hone  lage  manzaroñ  meñ  manzar  gum
kahāñ  hai  tū  ki  hai  maujūd  gum  mayassar  gum
ajal-girafta  haiñ  ham  aa  idhar  rudālī  aa
jo  nauhagar  the  hamāre  hue  vo  yaksar  gum
na  jal-parī  hī  vo  aa.ī  na  bādbān  khulā
aur  apne-āp  meñ  dekhā  gayā  samundar  gum
maiñ  tere  dhyān  ke  dāman  ko  thaam  kar  niklā
vagarna  dekhā  gayā  ḳhizr  gum  sikandar  gum
ye  kaun  le  gayā  paanī  hamārī  jhīloñ  se
parinde  DhūñD  rahe  haiñ  kahāñ  hai  kīnjhar  gum