Qurbi Velori

mah-e-man shama tuman dil ke shabistan mein aa

Qurbi Velori

Bijapur, Karnataka, India

1706-1769
māh-e-man sham.a tuman dil ke shabistān meñ aa
nūr-e-dīda ho merī chashm ke aivān meñ aa
be-niyāzī suuñ terī jāñ-ba-lab aayā hai mujhe
chhoḌ kar taur-e-jafā kuchh rah-e-ehsān meñ aa
dil to behāl huā goī naman sargardāñ
zulf-e-pur-pech ke chaugān le maidān meñ aa
sarv-o-shamshād-o-gul-o-lāla usī kā hai zuhūr
dekhne us ke zuhūrāt kuuñ bustān meñ aa
sūrat-e-lafz-o-ibārāt-o-ma.ānī andar
jalva-gar tuuñ che huā hai mere dīvān meñ aa
saḳht pardā hai gumāñ dīda-e-dil par 'qurbī'
dek mukh yaar kā har jā rah-e-īqān meñ aa
Top Urdushayar.com