dekh  to  dil  ki  jaañ  se  uThtā  hai
ye  dhuāñ  sā  kahāñ  se  uThtā  hai
gor  kis  diljale  kī  hai  ye  falak
shola  ik  sub.h  yaañ  se  uThtā  hai
ḳhāna-e-dil  se  zīnhār  na  jā
koī  aise  makāñ  se  uThtā  hai
naala  sar  khīñchtā  hai  jab  merā
shor  ik  āsmāñ  se  uThtā  hai
laḌtī  hai  us  kī  chashm-e-shoḳh  jahāñ
ek  āshob  vaañ  se  uThtā  hai
sudh  le  ghar  kī  bhī  shola-e-āvāz
duud  kuchh  āshiyāñ  se  uThtā  hai
baiThne  kaun  de  hai  phir  us  ko
jo  tire  āstāñ  se  uThtā  hai
yuuñ  uThe  aah  us  galī  se  ham
jaise  koī  jahāñ  se  uThtā  hai
ishq  ik  'mīr'  bhārī  patthar  hai
kab  ye  tujh  nā-tavāñ  se  uThtā  hai