ḳhātir  kare  hai  jamā  vo  har  baar  ek  tarah
kartā  hai  charḳh  mujh  se  na.e  yaar  ek  tarah
maiñ  aur  qais  o  kohkan  ab  jo  zabāñ  pe  haiñ
maare  ga.e  haiñ  sab  ye  gunahgār  ek  tarah
manzūr  us  ko  parde  meñ  haiñ  be-hijābiyāñ
kis  se  huā  do-chār  vo  ayyār  ek  tarah
sab  tarheñ  us  kī  apnī  nazar  meñ  thiiñ  kyā  kaheñ
par  ham  bhī  ho  ga.e  haiñ  giraftār  ek  tarah
ghar  us  ke  jā  ke  aate  haiñ  pāmāl  ho  ke  ham
kariye  makāñ  hī  ab  sar-e-bāzār  ek  tarah
gah  gul  hai  gaah  rañg  gahe  baaġh  kī  hai  bū
aatā  nahīñ  nazar  vo  tarah-dār  ek  tarah
nairañg  husn-e-dost  se  kar  āñkheñ  āshnā
mumkin  nahīñ  vagarna  ho  dīdār  ek  tarah
sau  tarah  tarah  dekh  tabīboñ  ne  ye  kahā
sehat  pazīr  hue  ye  bīmār  ek  tarah
so  bhī  hazār  tarah  se  Thaharāvte  haiñ  ham
taskīn  ke  liye  tirī  nā-chār  ek  tarah
bin  jī  diye  ho  koī  tarah  fā.eda  nahīñ
gar  hai  to  ye  hai  ai  jigar  afgār  ek  tarah
har  tarah  tū  zalīl  hī  rakhtā  hai  'mīr'  ko
hotā  hai  āshiqī  meñ  koī  ḳhvār  ek  tarah