jab  naam  tirā  lījiye  tab  chashm  bhar  aave
is  zindagī  karne  ko  kahāñ  se  jigar  aave
talvār  kā  bhī  maarā  ḳhudā  rakkhe  hai  zālim
ye  to  ho  koī  gor-e-ġharībāñ  meñ  dar  aave
mai-ḳhāna  vo  manzar  hai  ki  har  sub.h  jahāñ  shaiḳh
dīvār  pe  ḳhurshīd  kā  mastī  se  sar  aave
kyā  jāneñ  ve  murġhān-e-giraftār-e-chaman  ko
jin  tak  ki  ba-sad-nāz  nasīm-e-sahar  aave
tū  sub.h  qadam-ranja  kare  Tuk  to  hai  varna
kis  vāste  āshiq  kī  shab-e-ġham  basar  aave
har  sū  sar-e-taslīm  rakhe  said-e-haram  haiñ
vo  said-fagan  teġh-ba-kaf  tā  kidhar  aave
dīvāroñ  se  sar  mārte  phirne  kā  gayā  vaqt
ab  tū  hī  magar  aap  kabhū  dar  se  dar  aave
vaa.iz  nahīñ  kaifiyyat-e-mai-ḳhāna  se  āgāh
yak  jur.a  badal  varna  ye  mindīl  dhar  aave
sannā.a  haiñ  sab  ḳhvār  azaañ  jumla  huuñ  maiñ  bhī
hai  aib  baḌā  us  meñ  jise  kuchh  hunar  aave
ai  vo  ki  tū  baiThā  hai  sar-e-rāh  pe  zinhār
kahiyo  jo  kabhū  'mīr'  balā-kash  idhar  aave
mat  dasht-e-mohabbat  meñ  qadam  rakh  ki  ḳhizar  ko
har  gaam  pe  is  rah  meñ  safar  se  hazar  aave