makka  gayā  madīna  gayā  karbalā  gayā
jaisā  gayā  thā  vaisā  hī  chal  phir  ke  aa  gayā
dekhā  ho  kuchh  us  āmad-o-shud  meñ  to  maiñ  kahūñ
ḳhud  gum  huā  huuñ  baat  kī  tah  ab  jo  pā  gayā
kapḌe  gale  ke  mere  na  hoñ  āb-dīda  kyuuñ
mānind-e-abr  dīda-e-tar  ab  to  chhā  gayā
jāñ-soz  aah  o  naala  samajhtā  nahīñ  huuñ  maiñ
yak  sho.ala  mere  dil  se  uThā  thā  jalā  gayā
vo  mujh  se  bhāgtā  hī  phirā  kibr-o-nāz  se
juuñ  juuñ  niyāz  kar  ke  maiñ  us  se  lagā  gayā
jor-e-sip.har-e-dūñ  se  burā  haal  thā  bahut
maiñ  sharm-e-nā-kasī  se  zamīñ  meñ  samā  gayā
dekhā  jo  raah  jaate  tabaḳhtūr  ke  saath  use
phir  mujh  shikasta-pā  se  na  ik-dam  rahā  gayā
baiThā  to  boriye  ke  ta.iiñ  sar  pe  rakh  ke  'mīr'
saf  kis  adab  se  ham  fuqarā  kī  uThā  gayā