nahīñ  vasvās  jī  gañvāne  ke
haa.e  re  zauq  dil  lagāne  ke
mere  taġh.īr-e-hāl  par  mat  jā
ittifāqāt  haiñ  zamāne  ke
dam-e-āḳhir  hī  kyā  na  aanā  thā
aur  bhī  vaqt  the  bahāne  ke
is  kudūrat  ko  ham  samajhte  haiñ
Dhab  haiñ  ye  ḳhaak  meñ  milāne  ke
bas  haiñ  do  barg-e-gul  qafas  meñ  sabā
nahīñ  bhūke  ham  āb-o-dāne  ke
marne  par  baiThe  haiñ  suno  sāhab
bande  haiñ  apne  jī  chalāne  ke
ab  garebāñ  kahāñ  ki  ai  nāseh
chaḌh  gayā  haath  us  divāne  ke
chashm-e-najam  sip.har  jhapke  hai
sadqe  us  añkhḌiyāñ  laḌāne  ke
dil-o-dīñ  hosh-o-sabr  sab  hī  ga.e
aage  aage  tumhāre  aane  ke
kab  tū  sotā  thā  ghar  mare  aa  kar
jaage  taalā  ġharīb-ḳhāne  ke
mizha-e-abrū-nigah  se  is  kī  'mīr'
kushta  haiñ  apne  dil  lagāne  ke
tīr-o-talvār-o-sail  yakjā  haiñ
saare  asbāb  maar  jaane  ke