naqqāsh  dekh  to  maiñ  kyā  naqsh-e-yār  khīñchā
us  shoḳh  kam-numā  kā  nit  intizār  khīñchā
rasm-e-qalamrav-e-ishq  mat  pūchh  kuchh  ki  nāhaq
ekoñ  kī  khaal  khīñchī  ekoñ  ko  daar  khīñchā
thā  bad-sharāb  saaqī  kitnā  ki  raat  mai  se
maiñ  ne  jo  haath  khīñchā  un  ne  kaTār  khīñchā
mastī  meñ  shakl  saarī  naqqāsh  se  khiñchī  par
āñkhoñ  ko  dekh  us  kī  āḳhir  ḳhumār  khīñchā
jī  khiñch  rahe  haiñ  ūdhar  aalam  kā  hogā  balva
gar  shāne  tū  ne  us  kī  zulfoñ  kā  taar  khīñchā
thā  shab  kise  kasā.e  teġh-e-kashīda-kaf  meñ
par  maiñ  ne  bhī  baġhal  baġhal  be-iḳhtiyār  khīñchā
phirtā  hai  'mīr'  to  jo  phāḌe  hue  garebāñ
kis  kis  sitam-zade  ne  dāmāñ  yaar  khīñchā