dil  pahuñchā  halākī  ko  nipaT  khīñch  kasālā
le  yaar  mire  sallamahū  allāh-ta.ālā
kuchh  maiñ  nahīñ  us  dil  kī  pareshānī  kā  baa.is
barham  hī  mire  haath  lagā  thā  ye  risālā
ma.amūr  sharāboñ  se  kabāboñ  se  hai  sab  dair
masjid  meñ  hai  kyā  shaiḳh  piyāla  na  nivālā
guzre  hai  lahū  vaañ  sar  har  ḳhaar  se  ab  tak
jis  dasht  meñ  phūTā  hai  mire  paañv  kā  chhālā
gar  qasd  udhar  kā  hai  to  Tak  dekh  ke  aanā
ye  der  hai  zahād  na  ho  ḳhāna-e-ḳhālā
jis  ghar  meñ  tire  jalve  se  ho  chāñdnī  kā  farsh
vaañ  chādar  mahtāb  hai  makḌī  kā  sā  jaalā
dushman  na  kudūrat  se  mire  sāmne  ho  jo
talvār  ke  laḌne  ko  mire  kiijo  havāla
nāmūs  mujhe  saafī  tīnat  kī  hai  varna
rustam  ne  mirī  teġh  kā  hamla  na  sambhālā
dekhe  hai  mujhe  dīda-e-pur-ḳhashm  se  vo  'mīr'
mere  hī  nasīboñ  meñ  thā  ye  zahar  kā  pyālā