chaman  meñ  gul  ne  jo  kal  dāva-e-jamāl  kiyā
jamāl-e-yār  ne  muñh  us  kā  ḳhuub  laal  kiyā
falak  ne  aah  tirī  rah  meñ  ham  ko  paidā  kar
ba-rañg-e-sabza-e-nūrasta  pā.emāl  kiyā
rahī  thī  dam  kī  kashākash  gale  meñ  kuchh  baaqī
so  us  kī  teġh  ne  jhagḌā  hī  infisāl  kiyā
mirī  ab  āñkheñ  nahīñ  khultīñ  zo.af  se  hamdam
na  kah  ki  niiñd  meñ  hai  tū  ye  kyā  ḳhayāl  kiyā
bahār-e-rafta  phir  aa.ī  tire  tamāshe  ko
chaman  ko  yumn-e-qadam  ne  tire  nihāl  kiyā
javāb-nāma  siyāhī  kā  apnī  hai  vo  zulf
kisū  ne  hashr  ko  ham  se  agar  savāl  kiyā
lagā  na  dil  ko  kahīñ  kyā  sunā  nahīñ  tū  ne
jo  kuchh  ki  'mīr'  kā  is  āshiqī  ne  haal  kiyā