Meer Taqi Meer

be-kasana ji giraftari se shewan mein raha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
be-kasāna jī giraftārī se shevan meñ rahā
ik dil ġham-ḳhvār rakhte the so gulshan meñ rahā
panja-e-gul kī tarah dīvāngī meñ haath ko
gar nikālā meñ garebāñ se to dāman meñ rahā
sham.a saañ jalte rahe lekin na toḌā yaar se
rishtha-e-ulfat tamāmī umr gardan meñ rahā
Dar se us shamshīr-zan ke jauhar ā.īna saañ
sar se le kar paañv tak maiñ ġharq aahan meñ rahā
ham na kahte the ki mat dair-o-haram kī raah chal
ab ye da.avā hashr tak shaiḳh-o-barahman meñ rahā
darpai dil hī rahe us chehre ke ḳhāl-e-siyāh
Dar hameñ un choñtoñ kā roz-e-raushan meñ rahā
aah kis andāz se guzrā bayābāñ se ki 'mīr'
jī har ik naḳhchīr kā us said-e-afgan meñ rahā
Top Urdushayar.com