be-kasāna  jī  giraftārī  se  shevan  meñ  rahā
ik  dil  ġham-ḳhvār  rakhte  the  so  gulshan  meñ  rahā
panja-e-gul  kī  tarah  dīvāngī  meñ  haath  ko
gar  nikālā  meñ  garebāñ  se  to  dāman  meñ  rahā
sham.a  saañ  jalte  rahe  lekin  na  toḌā  yaar  se
rishtha-e-ulfat  tamāmī  umr  gardan  meñ  rahā
Dar  se  us  shamshīr-zan  ke  jauhar  ā.īna  saañ
sar  se  le  kar  paañv  tak  maiñ  ġharq  aahan  meñ  rahā
ham  na  kahte  the  ki  mat  dair-o-haram  kī  raah  chal
ab  ye  da.avā  hashr  tak  shaiḳh-o-barahman  meñ  rahā
darpai  dil  hī  rahe  us  chehre  ke  ḳhāl-e-siyāh
Dar  hameñ  un  choñtoñ  kā  roz-e-raushan  meñ  rahā
aah  kis  andāz  se  guzrā  bayābāñ  se  ki  'mīr'
jī  har  ik  naḳhchīr  kā  us  said-e-afgan  meñ  rahā