hastī  apnī  habāb  kī  sī  hai
ye  numā.ish  sarāb  kī  sī  hai
nāzukī  us  ke  lab  kī  kyā  kahiye
pañkhuḌī  ik  gulāb  kī  sī  hai
chashm-e-dil  khol  is  bhī  aalam  par
yaañ  kī  auqāt  ḳhvāb  kī  sī  hai
baar  baar  us  ke  dar  pe  jaatā  huuñ
hālat  ab  iztirāb  kī  sī  hai
nuqta-e-ḳhāl  se  tirā  abrū
bait  ik  intiḳhāb  kī  sī  hai
maiñ  jo  bolā  kahā  ki  ye  āvāz
usī  ḳhāna-ḳharāb  kī  sī  hai
ātish-e-ġham  meñ  dil  bhunā  shāyad
der  se  bū  kabāb  kī  sī  hai
dekhiye  abr  kī  tarah  ab  ke
merī  chashm-e-pur-āb  kī  sī  hai
'mīr'  un  nīm-bāz  āñkhoñ  meñ
saarī  mastī  sharāb  kī  sī  hai