Meer Taqi Meer

nala-e-ijz naqs-e-ulfat hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
nāla-e-ijz naqs-e-ulfat hai
anj-o-mehnat kamāl rāhat hai
ishq hī girya-e-nadāmat hai
varna āshiq ko chashm-e-ḳhiffat hai
tā dam-e-marg ġham ḳhushī kā nahīñ
dil-e-āzurda gar salāmat hai
dil meñ nāsūr phir jidhar chāhe
har taraf kūcha-e-jarrāhat hai
ronā aatā hai dam-ba-dam shāyad
kaso hasrat kī dil se ruḳhsat hai
fitne rahte haiñ us ke saa.e meñ
qad-o-qāmat tirā qayāmat hai
na tujhe rahm ne use Tuk sabr
dil pe mere ajab musībat hai
tū to nādān hai nipaT nāseh
kab mo.assir tirī nasīhat hai
dil pe jab mere aa ke ye Thahrā
ki mujhe ḳhush-dilī aziyyat hai
ranj-o-mehnat se baaz kyūñke rahūñ
vaqt jaatā rahe to hasrat hai
kyā hai phir koī dam ko kyā jaano
dam ġhanīmat miyāñ jo fursat hai
terā shikva mujhe na merā tujhe
chāhiye yuuñ jo fil-haqīqat hai
tujh ko masjid hai mujh ko mai-ḳhāna
vā.izā apnī apnī qismat hai
aise hañsmukh ko sham.a se tashbīh
sham.a-e-majlis kī ronī sūrat hai
bātil-us-sehr dekh bātil the
terī āñkhoñ kā sehr aafat hai
abr-e-tar ke huzūr phuuT bahā
dīda-e-tar ko mere rahmat hai
gaah nālāñ tapāñ gahe be-dam
dil kī mere ajab hī hālat hai
kyā huā gar ġhazal qasīda huī
āqibat qissa-e-mohabbat hai
turbat-e-'mīr' par haiñ ahl-e-suḳhan
har taraf harf hai hikāyat hai
tū bhī taqrīb-e-fātiha se chal
ba-ḳhudā vājibuzziyārat hai
Top Urdushayar.com