nāla-e-ijz  naqs-e-ulfat  hai
anj-o-mehnat  kamāl  rāhat  hai
ishq  hī  girya-e-nadāmat  hai
varna  āshiq  ko  chashm-e-ḳhiffat  hai
tā  dam-e-marg  ġham  ḳhushī  kā  nahīñ
dil-e-āzurda  gar  salāmat  hai
dil  meñ  nāsūr  phir  jidhar  chāhe
har  taraf  kūcha-e-jarrāhat  hai
ronā  aatā  hai  dam-ba-dam  shāyad
kaso  hasrat  kī  dil  se  ruḳhsat  hai
fitne  rahte  haiñ  us  ke  saa.e  meñ
qad-o-qāmat  tirā  qayāmat  hai
na  tujhe  rahm  ne  use  Tuk  sabr
dil  pe  mere  ajab  musībat  hai
tū  to  nādān  hai  nipaT  nāseh
kab  mo.assir  tirī  nasīhat  hai
dil  pe  jab  mere  aa  ke  ye  Thahrā
ki  mujhe  ḳhush-dilī  aziyyat  hai
ranj-o-mehnat  se  baaz  kyūñke  rahūñ
vaqt  jaatā  rahe  to  hasrat  hai
kyā  hai  phir  koī  dam  ko  kyā  jaano
dam  ġhanīmat  miyāñ  jo  fursat  hai
terā  shikva  mujhe  na  merā  tujhe
chāhiye  yuuñ  jo  fil-haqīqat  hai
tujh  ko  masjid  hai  mujh  ko  mai-ḳhāna
vā.izā  apnī  apnī  qismat  hai
aise  hañsmukh  ko  sham.a  se  tashbīh
sham.a-e-majlis  kī  ronī  sūrat  hai
bātil-us-sehr  dekh  bātil  the
terī  āñkhoñ  kā  sehr  aafat  hai
abr-e-tar  ke  huzūr  phuuT  bahā
dīda-e-tar  ko  mere  rahmat  hai
gaah  nālāñ  tapāñ  gahe  be-dam
dil  kī  mere  ajab  hī  hālat  hai
kyā  huā  gar  ġhazal  qasīda  huī
āqibat  qissa-e-mohabbat  hai
turbat-e-'mīr'  par  haiñ  ahl-e-suḳhan
har  taraf  harf  hai  hikāyat  hai
tū  bhī  taqrīb-e-fātiha  se  chal
ba-ḳhudā  vājibuzziyārat  hai