na  gayā  ḳhayāl-e-zulf-e-siyah  jafā.-sha.ārāñ
na  huā  ki  sub.h  hove  shab-e-tīra  rozgārāñ
na  kahā  thā  ai  rafūgar  tire  Tāñke  hoñge  Dhīle
na  siyā  gayā  ye  āḳhir  dil-e-chāk-e-be-qarārāñ
huī  iid  sab  ne  pahne  tarab-o-ḳhushī  ke  jaame
na  huā  ki  ham  bhī  badleñ  ye  libās-e-sogovārāñ
ḳhatar  aziim  meñ  haiñ  mirī  āh-o-ashk  se  sab
ki  jahān  rah  chukā  phir  jo  yahī  hai  bād-o-bārāñ
kahīñ  ḳhāk-e-kū  ko  us  kī  tū  sabā  na  diijo  jumbish
ki  bhare  haiñ  is  zamīñ  meñ  jigar  jigar-figārāñ
rakhe  tāj-e-zar  ko  sar  par  chaman  zamāna  meñ  gil
na  shagufta  ho  tū  itnā  ki  ḳhizāñ  hai  ye  bahārāñ
nahīñ  tujh  ko  chashm-e-ibrat  ye  numūd  meñ  hai  varna
ki  ga.e  haiñ  ḳhaak  meñ  mil  ka.ī  tujh  se  tāj-dārāñ
tū  jahāñ  se  dil  uThā  yaañ  nahīñ  rasm-e-dardmandī
kisī  ne  bhī  yuuñ  na  pūchhā  hue  ḳhaak  yaañ  hazārāñ
ye  ajal  se  jī  chhupānā  mirā  āshkār  haigā
ki  ḳharāb  hogā  mujh  bin  ġham-e-ishq  gul-azārāñ
ye  sunā  thā  'mīr'  ham  ne  ki  fasāna  ḳhvāb  lā  hai
tirī  sar-guzasht  sun  kar  ga.e  aur  ḳhvāb  yārāñ