dil  dimāġh-o-jigar  ye  sab  ik  baar
kaam  aa.e  firāq  meñ  ai  yaar
kyuuñ  na  ho  zo.af  ġhālib  a.azā  par
mar  ga.e  haiñ  qushūn  ke  sardār
gul-e-pazhmurda  kā  nahīñ  mamnūn
ham  asīroñ  kā  gosha-e-dastār
mat  nikal  ghar  se  ham  bhī  raazī  haiñ
dekh  leñge  kabhū  sar-e-bāzār
saiñkaḌoñ  harf  haiñ  girah  dil  meñ
par  kahāñ  pā.iye  lab-e-iz.hār
sair  kar  dasht-e-ishq  kā  gulshan
ġhunche  ho  ho  rahe  haiñ  sau  sau  ḳhaar
roz-e-mahshar  hai  raat  hijrāñ  kī
aisī  ham  zindagī  se  haiñ  bezār
bahs  naala  bhī  kījiyo  bulbul
pahle  paidā  to  kar  lab-e-guftār
shukr  kar  dāġh-e-dil  kā  ai  ġhāfil
kis  ko  dete  haiñ  dīda-e-bedār
go  ġhazal  ho  ga.ī  qasīda  sī
āshiqoñ  kā  hai  tuul  harf-e-shi.ār
har  sahar  lag  chalī  to  hai  to  nasīm
ai  siyah-mast-nāz  Tak  hushiyār
shāḳhsāne  hazār  nikleñge
jo  gayā  us  kī  zulf  kā  ik  taar
vājib-ul-qatl  is  qadar  to  huuñ
ki  mujhe  dekh  kar  kahe  hai  pukār
ye  tū  aayā  na  sāmne  mere
laao  merī  miyāñ  sipar  talvār
aa  ziyārat  ko  qabr  āshiq  par
ik  tarah  kā  hai  yaañ  bhī  josh-e-bahār
nikle  hai  merī  ḳhaak  se  nargis
ya.anī  ab  tak  hai  hasrat-e-dīdār
'mīr'-sāhib  zamāna  nāzuk  hai
donoñ  hāthoñ  se  thāmiye  dastār
sahal  sī  zindagī  pe  kaam  ke  tiiñ
apne  uupar  na  kījiye  dushvār
chaar  din  kā  hai  maj.hla  ye  sab
sab  se  rakhiye  sulūk  hī  nā-chār
koī  aisā  gunāh  aur  nahīñ
ye  ki  kiije  sitam  kisī  par  yaar
vaañ  jahāñ  ḳhaak  ke  barābar  hai
qadar  haft-āsmāñ  zulm-shi.ār
yahī  darḳhvāst  paas  dil  kī  hai
nahīñ  roza  namāz  kuchh  darkār
dar-e-masjid  pe  halqa-zan  ho  tum
ki  raho  baiTh  ḳhāna-e-ḳhummār
jī  meñ  aave  so  kījiyo  pyāre
leak  huujo  na  darpai  āzār
hāsil-e-do-jahāñ  hai  yak  harf
ho  mirī  jaan  aage  tum  muḳhtār