jin  ke  liye  apne  to  yuuñ  jaan  nikalte  haiñ
is  raah  meñ  ve  jaise  anjān  nikalte  haiñ
kyā  tīr-e-sitam  us  ke  siine  meñ  bhī  TuuTe  the
jis  zaḳhm  ko  chīrūñ  huuñ  paikān  nikalte  haiñ
mat  sahl  hameñ  jaano  phirtā  hai  falak  barsoñ
tab  ḳhaak  ke  parde  se  insān  nikalte  haiñ
kis  kā  hai  qimāsh  aisā  gūdaḌ  bhare  haiñ  saare
dekho  na  jo  logoñ  ke  dīvān  nikalte  haiñ
gah  lohū  Tapaktā  hai  gah  laḳht-e-dil  āñkhoñ  se
yā  TukḌe  jigar  hī  ke  har  aan  nikalte  haiñ
kariye  to  gila  kis  se  jaisī  thī  hameñ  ḳhvāhish
ab  vaise  hī  ye  apne  armān  nikalte  haiñ
jāgah  se  bhī  jaate  ho  muñh  se  bhī  ḳhashin  ho  kar
ve  harf  nahīñ  haiñ  jo  shāyān  nikalte  haiñ
so  kaahe  ko  apnī  tū  jogī  kī  sī  pherī  hai
barsoñ  meñ  kabhū  īdhar  ham  aan  nikalte  haiñ
un  ā.īna-rūyoñ  ke  kyā  'mīr'  bhī  āshiq  haiñ
jab  ghar  se  nikalte  haiñ  hairān  nikalte  haiñ