jab  ham-kalām  ham  se  hotā  hai  paan  khā  kar
kis  rañg  se  kare  hai  bāteñ  chabā  chabā  kar
thī  jumlā-tan  latāfat  aalam  meñ  jaañ  ke  ham  to
miTTī  meñ  aT  ga.e  haiñ  is  ḳhāk-dāñ  meñ  aa  kar
sa.ī  o  talab  bahut  kī  matlab  ke  ta.iiñ  na  pahuñche
nā-chār  ab  jahāñ  se  baiThe  haiñ  haath  uThā  kar
ġhairat  ye  thī  ki  aayā  us  se  jo  maiñ  ḳhafā  ho
marte  muā  pe  hargiz  ūdhar  phirā  na  jā  kar
qudrat  ḳhudā  kī  sab  meñ  ḳhal.ul-īzār  aao
baiTho  jo  mujh  kane  to  parde  meñ  muñh  chhupā  kar
armān  hai  jinhoñ  ko  ve  ab  kareñ  mohabbat
ham  to  hue  pashīmāñ  dil  ke  ta.iiñ  lagā  kar
maiñ  'mīr'  tark  le  kar  duniyā  se  haath  uThāyā
darvesh  tū  bhī  to  hai  haq  meñ  mire  duā  kar