ai  gul-e-nau-damīda  ke  mānind
hai  tū  kis  āfrīda  ke  mānind
ham  ummīd-e-vafā  pe  terī  hue
ġhuncha-e-dair  chīda  ke  mānind
ḳhaak  ko  merī  sair  kar  ke  phirā
vo  ġhazāl-e-ramīda  ke  mānind
sar  uThāte  hī  ho  ga.e  pāmāl
sabza-e-nau-damīda  ke  mānind
na  kaTe  raat  hijr  kī  jo  na  ho
naala  teġh-e-kashīda  ke  mānind
ham  giraftār-e-hāl  haiñ  apne
tā.ir-e-par-burīda  ke  mānind
dil  taḌaptā  hai  ashk-e-ḳhūnīñ  meñ
said-e-dar-ḳhūñ  tapīda  ke  mānind
tujh  se  yūsuf  ko  kyūñke  nisbat  deñ
kab  shunīda  ho  diida  ke  mānind
'mīr'-sāhib  bhī  us  ke  haañ  the  lek
banda-e-zar  ḳharīda  ke  mānind