qayāmat  haiñ  ye  chaspāñ  jaame  vaale
guloñ  ne  jin  kī  ḳhātir  ḳhirqe  Daale
vo  kaalā  chor  hai  ḳhāl-e-ruḳh-e-yār
ki  sau  āñkhoñ  meñ  dil  ho  to  churā  le
nahīñ  uThtā  dil-e-mahzūñ  kā  mātam
ḳhudā  hī  is  musībat  se  nikāle
kahāñ  tak  duur  baiThe  baiThe  kahiye
kabhū  to  paas  ham  ko  bhī  bulā  le
dilā  baazī  na  kar  un  gesuoñ  se
nahīñ  āsāñ  khilāne  saañp  kaale
tapish  ne  dil  jigar  kī  maar  Daalā
baġhal  meñ  dushman  apne  ham  ne  paale
na  mahke  bū-e-gul  ai  kaash  yak-chand
abhī  zaḳhm-e-jigar  saare  haiñ  aale
kise  qaid-e-qafas  meñ  yaad  gul  kī
paḌe  haiñ  ab  to  jiine  hī  ke  laale
satāyā  'mīr'  ġham-kash  ko  kinhoñ  ne
ki  phir  ab  arsh  tak  jaate  haiñ  naale