talvār  ġharq-e-ḳhūñ  hai  āñkheñ  gulābiyāñ  haiñ
dekheñ  to  terī  kab  tak  ye  bad-sharābiyāñ  haiñ
jab  le  naqāb  muñh  par  tab  diid  kar  ki  kyā  kyā
dar-parda  shoḳhiyāñ  haiñ  phir  be-hijābiyāñ  haiñ
chāhe  hai  aaj  huuñ  maiñ  haft-āsmāñ  ke  uupar
dil  ke  mizāj  meñ  bhī  kitnī  shitābiyāñ  haiñ
jī  bikhre  dil  Dhahe  hai  sar  bhī  girā  paḌe  hai
ḳhāna-ḳharāb  tujh  bin  kyā  kyā  ḳharābiyāñ  haiñ
mehmān  'mīr'  mat  ho  ḳhvān-e-falak  pe  hargiz
ḳhālī  ye  mehr-o-mah  kī  donoñ  rikābiyāñ  haiñ