ye  tark  ho  ke  ḳhashin  kaj  agar  kulāh  kareñ
to  bul-havas  na  kabhū  chashm  ko  siyāh  kareñ
tumheñ  bhī  chāhiye  hai  kuchh  to  paas  chāhat  kā
ham  apnī  aur  se  yuuñ  kab  talak  nibāh  kareñ
rakhā  hai  apne  ta.iiñ  rok  rok  kar  varna
siyāh  kar  deñ  zamāne  ko  ham  jo  aah  kareñ
jo  us  kī  aur  ko  jaanā  mile  to  ham  bhī  za.iif
hazār  sajde  har  ik  gaam  sarbarāh  kareñ
havā-e-mai-kada  ye  hai  to  faut-e-vaqt  hai  zulm
namāz  chhoḌ  deñ  ab  koī  din  gunāh  kareñ
hamesha  kaun  takalluf  hai  ḳhūb-rūyoñ  kā
guzār  naaz  se  īdhar  bhī  gaah  gaah  kareñ
agar  uTheñge  isī  haal  se  to  kahiyo  tū
jo  roz-e-hashr  tujhī  ko  na  uzr-ḳhvāh  kareñ
burī  balā  haiñ  sitam-kushta-e-mohabbat  ham
jo  teġh  barse  to  sar  ko  na  kuchh  panāh  kareñ
agarche  sahal  haiñ  par  dīdanī  haiñ  ham  bhī  'mīr'
udhar  ko  yaar  ta.ammul  se  gar  nigāh  kareñ