mustujib-e-zulm-o-sitam-o-jaur-o-jafā  huuñ
har-chand  ki  jaltā  huuñ  pe  sargarm-e-vafā  huuñ
aate  haiñ  mujhe  ḳhuub  se  donoñ  hunar-e-ishq
rone  ke  ta.iiñ  āñdhī  huuñ  kuḌhne  ko  balā  huuñ
is  gulshan-e-duniyā  meñ  shagufta  na  huā  maiñ
huuñ  ġhuncha-e-afsurda  ki  mardūd-e-sabā  huuñ
ham-chashm  hai  har  ābla-e-pā  kā  mirā  ashk
az-bas  ki  tirī  raah  meñ  āñkhoñ  se  chalā  huuñ
aayā  koī  bhī  tarah  mire  chiin  kī  hogī
āzurda  huuñ  jiine  se  maiñ  marne  se  ḳhafā  huuñ
dāman  na  jhaTak  haath  se  mere  ki  sitamgar
huuñ  ḳhāk-e-sar-e-rāh  koī  dam  meñ  huā  huuñ
dil  ḳhvāh  jalā  ab  to  mujhe  ai  shab-e-hijrāñ
maiñ  soḳhta  bhī  muntazir-e-roz-e-jazā  huuñ
go  tāqat-o-ārām-o-ḳhor-o-ḳhvāb  ga.e  sab
baare  ye  ġhanīmat  hai  ki  jiitā  to  rahā  huuñ
itnā  hī  mujhe  ilm  hai  kuchh  maiñ  huuñ  bahar-chīz
ma.alūm  nahīñ  ḳhuub  mujhe  bhī  ki  maiñ  kyā  huuñ
behtar  hai  ġharaz  ḳhāmushī  hī  kahne  se  yārāñ
mat  pūchho  kuchh  ahvāl  ki  mar  mar  ke  jiyā  huuñ
tab  garm-e-suḳhan  kahne  lagā  huuñ  maiñ  ki  ik  umr
juuñ  sham.a  sar-e-shām  se  tā-sub.h  jalā  huuñ
siina  to  kiyā  fazl-e-ilāhī  se  sabhī  chaak
hai  vaqt-e-duā  'mīr'  ki  ab  dil  ko  lagā  huuñ