jab  se  us  bevafā  ne  baal  rakhe
said  bandoñ  ne  jaal  Daal  rakhe
haath  kyā  aave  vo  kamar  hai  hech
yuuñ  koī  jī  meñ  kuchh  ḳhayāl  rakhe
rah-rav-e-rāh  ḳhaufnāk  ishq
chāhiye  paañv  ko  sambhāl  rakhe
pahuñche  har  ik  na  dard  ko  mere
vo  hī  jaane  jo  aisā  haal  rakhe
aise  zar  dost  ho  to  ḳhair  hai  ab
maliye  us  se  jo  koī  maal  rakhe
bahs  hai  nā-qishoñ  se  kaash  falak
mujh  ko  is  zumre  se  nikāl  rakhe
samjhe  andāz  sher  ko  mere
'mīr'  kā  sā  agar  kamāl  rakhe