na  pūchh  ḳhvāb  zuleḳhā  ne  kyā  ḳhayāl  liyā
ki  kārvāñ  kā  kan.āñ  ke  jī  nikāl  liyā
rah-e-talab  meñ  gire  hote  sar  ke  bal  ham  bhī
shikasta-pā.ī  ne  apnī  hameñ  sambhāl  liyā
rahūñ  huuñ  barsoñ  se  ham  dosh  par  kabhū  un  ne
gale  maiñ  haath  mirā  pyaar  se  na  Daal  liyā
butāñ  kī  'mīr'  sitam  vo  nigāh  hai  jis  ne
ḳhudā  ke  vāste  bhī  ḳhalq  kā  vabāl  liyā