hañste  ho  rote  dekh  kar  ġham  se
chheḌ  rakhī  hai  tum  ne  kyā  ham  se
muñd  ga.ī  aañkh  hai  añdherā  paak
raushnī  hai  so  yaañ  mire  dam  se
tum  jo  dil-ḳhvāh  ḳhalq  ho  ham  ko
dushmanī  hai  tamām  aalam  se
darhamī  aa  ga.ī  mizājoñ  meñ
āḳhir  un  gesuvān-e-dirham  se
sab  ne  jaanā  kahīñ  ye  āshiq  hai
bah  ga.e  ashk  dīda-e-nam  se
muft  yuuñ  haath  se  na  kho  ham  ko
kahīñ  paidā  bhī  hote  haiñ  ham  se
aksar  ālāt-e-jaur  us  se  hue
āfateñ  aa.iiñ  us  ke  muqaddam  se
dekh  ve  palkeñ  barchhiyāñ  chaliyāñ
teġh  niklī  us  abrū-e-ḳham  se
koī  begāna  gar  nahīñ  maujūd
muñh  chhupānā  ye  kyā  hai  phir  ham  se
vaj.h  parde  kī  pochhiye  baare
maliye  us  ke  kaso  jo  mahram  se
darpai  ḳhuun  'mīr'  hī  na  raho
ho  bhī  jaatā  hai  jurm  aadam  se