kaisā  chaman  asīrī  meñ  kis  ko  idhar  ḳhayāl
parvāz  ḳhvāb  ho  ga.ī  hai  bāl-o-par  ḳhayāl
mushkil  hai  miT  ga.e  hue  naqshoñ  kī  phir  numūd
jo  sūrateñ  bigaḌ  ga.iiñ  un  kā  na  kar  ḳhayāl
mū  ko  abas  hai  taab  kalī  yuuñ  hī  tañg  hai
us  kā  dahan  hai  vahm-o-gumān-o-kamar  ḳhayāl
ruḳhsār  par  hamāre  Dhalakne  ko  ashk  ke
dekhe  hai  jo  koī  so  kare  hai  guhar  ḳhayāl
kis  ko  dimāġh-e-sher-o-suḳhan  zo.af  meñ  ki  'mīr'
apnā  rahe  hai  ab  to  hameñ  beshtar  ḳhayāl