ham  ne  jaanā  thā  suḳhan  hoñge  zabāñ  par  kitne
par  qalam  haath  jo  aa.ī  likhe  daftar  kitne
maiñ  ne  is  us  sannā.a  se  sar  khīñchā  hai
ki  har  ik  kūche  meñ  jis  ke  the  hunar-var  kitne
kishvar-e-ishq  ko  ābād  na  dekhā  ham  ne
har  galī-kūche  meñ  uujaḌ  paḌe  the  ghar  kitne
aah  niklī  hai  ye  kis  kī  havas  sair-e-bahār
aate  haiñ  baaġh  meñ  āvāra  hue  par  kitne
dekhiyo  panja-e-mizhgāñ  kī  Tak  ātish-dastī
har  sahar  ḳhaak  meñ  milte  haiñ  dar-e-tar  kitne
kab  talak  ye  dil  sad-pāra  nazar  meñ  rakhiye
us  par  āñkheñ  hī  siye  rahte  haiñ  dilbar  kitne
umr  guzrī  ki  nahīñ  do  aadam  se  koī
jis  taraf  dekhiye  arse  meñ  haiñ  ab  ḳhar  kitne
tū  hai  bechāra  gadā  'mīr'  tirā  kiyā  mazkūr
mil  ga.e  ḳhaak  meñ  yaañ  sāhab  afsar  kitne