ai  dost  koī  mujh  sā  rusvā  na  huā  hogā
dushman  ke  bhī  dushman  par  aisā  na  huā  hogā
ab  ashk-e-hinā.ī  se  jo  tar  na  kare  mizhgāñ
vo  tujh  kaf-e-rañgīñ  kā  maarā  na  huā  hogā
Tak  gor-e-ġharībāñ  kī  kar  sair  ki  duniyā  meñ
un  zulm-rasīdoñ  par  kyā  kyā  na  huā  hogā
be-nāla-o-be-zārī  be-ḳhastagī-o-ḳhvārī
imroz  kabhī  apnā  fardā  na  huā  hogā
hai  qā.eda  kullī  ye  kū-e-mohabbat  meñ
dil  ġham  jo  huā  hogā  paidā  na  huā  hogā
is  kohna-ḳharābe  meñ  ābādī  na  kar  mun.im
yak  shahr  nahīñ  yaañ  jo  sahrā  na  huā  hogā
āñkhoñ  se  tirī  ham  ko  hai  chashm  ki  ab  hove
jo  fitna  ki  duniyā  meñ  barpā  na  huā  hogā
juz  martaba-e-kal  ko  hāsil  kare  hai  āḳhir
yak  qatra  na  dekhā  jo  dariyā  na  huā  hogā
sad  nashtar-e-mizhgāñ  ke  lagne  se  na  niklā  ḳhuuñ
aage  tujhe  'mīr'  aisā  saudā  na  huā  hogā