hijrāñ  kī  koft  khīñche  be-dam  se  ho  chale  haiñ
sar  maar  maar  ya.anī  ab  ham  bhī  so  chale  haiñ
javīñ  raheñgī  jaarī  gulshan  meñ  ek  muddat
saa.e  meñ  har  shajar  ke  ham  zor  ro  chale  haiñ
labrez  ashk  āñkheñ  har  baat  meñ  rahā  kiiñ
ro  ro  ke  kaam  apne  sab  ham  Dubo  chale  haiñ
pachhtā.iye  na  kyūñkar  jī  is  tarah  se  de  kar
ye  gauhar-girāmī  ham  muft  kho  chale  haiñ
qat.a  tarīq  mushkil  hai  ishq  kā  nihāyat
ve  'mīr'  jānte  haiñ  is  raah  jo  chale  haiñ