teġh-e-sitam  se  us  kī  mirā  sar  judā  huā
shukr  ḳhudā  ki  haq  mohabbat  adā  huā
qāsid  ko  de  ke  ḳhat  nahīñ  kuchh  bhejnā  zarūr
jaatā  hai  ab  to  jī  hī  hamārā  chalā  huā
vo  to  nahīñ  ki  ashk  thame  hī  na  aañkh  se
nikle  hai  koī  laḳht-e-dil  ab  sau  jalā  huā
hairān  rañg  bāġh-e-jahāñ  thā  bahut  rukā
tasvīr  kī  kalī  kī  tarah  dil  na  vā  huā
aalam  kī  be-fizā.ī  se  tañg  aa  ga.e  the  ham
jaagā  se  dil  gayā  jo  hamārā  bajā  huā
dar  pe  hamāre  jī  ke  huā  ġhair  ke  liye
anjām-e-kār  mudda.ī  kā  mudda.ā  huā
us  ke  ga.e  pe  dil  kī  ḳharābī  na  pochhiye
jaise  kaso  kā  koī  nagar  ho  luTā  huā
bad-tar  hai  ziist  marg  se  hijrān-e-yār  meñ
bīmār  dil  bhalā  na  huā  to  bhalā  huā
kahtā  thā  'mīr'  haal  to  jab  tak  to  thā  bhalā
kuchh  zabt  karte  karte  tirā  haal  kyā  huā