tāqat  nahīñ  hai  jī  meñ  nai  ab  jigar  rahā  hai
phir  dil  sitam-rasīda  ik  zulm  kar  rahā  hai
maarā  hai  kis  ko  zālim  us  be-salīqagī  se
dāman  tamām  terā  lohū  meñ  bhar  rahā  hai
pahuñchā  thā  teġh  khīñche  mujh  tak  jo  bole  dushman
kyā  mārtā  hai  us  ko  ye  aaphī  mar  rahā  hai
aane  kahā  hai  mere  ḳhush-qad  ne  raat  guzre
hañgāma-e-qayāmat  ab  sub.h  par  rahā  hai
chal  ham-nashīñ  ki  dekheñ  āvāra  'mīr'  ko  Tak
ḳhāna-ḳharāb  vo  bhī  aaj  apne  ghar  rahā  hai