vo  dekhne  hameñ  Tuk  bīmārī  meñ  na  aayā
sau  baar  āñkheñ  kholīñ  bālīñ  se  sar  uThāyā
gulshan  ke  tā.eroñ  ne  kyā  be-muravvatī  kī
yak  barg-e-gul  qafas  meñ  ham  tak  na  koī  laayā
be-hech  us  kā  ġhussa  yaaro  balā-e-jāñ  hai
hargiz  manā  na  ham  se  bahterā  hī  manāyā
qadd-e-buland  agarche  be-lutf  bhī  nahīñ  hai
sarv-e-chaman  meñ  lekin  andāza  vo  na  paayā
naqsha  ajab  hai  us  kā  naqqāsh  ne  azal  ke
matbū  aisā  chehra  koī  na  phir  banāyā
shab  ko  nashe  meñ  bāham  thī  guftugū-e-darham
us  mast  ne  jhañkāyā  yaanī  bahut  jhukāyā
dil-bastagī  meñ  khulnā  us  kā  na  us  se  dekhā
baḳht-e-nigūñ  ko  ham  ne  sau  baar  āzmāyā
āshiq  jahāñ  huā  hai  be-Dhañgiyāñ  hī  kī  haiñ
is  'mīr'-e-be-ḳhirad  ne  kab  Dhab  se  dil  lagāyā