dil-o-dimāġh  hai  ab  kis  ko  zindagānī  kā
jo  koī  dam  hai  to  afsos  hai  javānī  kā
agarche  umr  ke  das  din  ye  lab  rahe  ḳhāmosh
suḳhan  rahegā  sadā  merī  kam-zabānī  kā
subuk  hai  aave  jo  mindīl  rakh  namāz  ko  shaiḳh
rahā  hai  kaun  sā  ab  vaqt  sargirānī  kā
hazār  jaan  se  qurbān  be-parī  ke  haiñ
ḳhayāl  bhī  kabhū  guzrā  na  par-fishānī  kā
phire  hai  khīñche  hī  talvār  mujh  pe  har-dam  to
ki  said  huuñ  maiñ  tirī  dushmanī  jaanī  kā
numūd  kar  ke  vahīñ  bahr-e-ġham  meñ  baiTh  gayā
kahe  to  'mīr'  bhī  ik  bulbulā  thā  paanī  kā