vaisā  kahāñ  hai  ham  se  jaisā  ki  aage  thā  tū
auroñ  se  mil  ke  pyāre  kuchh  aur  ho  gayā  tū
chāleñ  tamām  be-Dhab  bāteñ  fareb  haiñ  sab
hāsil  ki  ai  shukr  lab  ab  vo  nahīñ  rahā  tū
jaate  nahīñ  uThā.e  ye  shor  har  sahar  ke
yā  ab  chaman  meñ  bulbul  ham  hī  raheñge  yā  tū
aa  abr  ek  do  dam  aapas  meñ  rakheñ  sohbat
kuḌhne  ko  huuñ  maiñ  āñdhī  rone  ko  hai  balā  tū
taqrīb  par  bhī  to  tū  pahlū  tahī  kare  hai
das  baar  iid  aa.ī  kab  kab  gale  milā  tū
tere  dahan  se  us  ko  nisbat  ho  kuchh  to  kahiye
gul  go  kare  hai  da.avā  ḳhātir  meñ  kuchh  na  lā  tū
dil  kyūñke  raast  aave  da.avā-e-āshnā.ī
dariyā-e-husn  vo  mah-e-kashtī-ba-kaf  gadā  tū
har  fard  yaas  abhī  se  daftar  hai  tujh  gale  kā
hai  qahr  jab  ki  hogā  harfoñ  se  āshnā  tū
aalam  hai  shauq-e-kushta-e-ḳhilqat  hai  terī  rafta
jānoñ  kī  aarzū  tū  āñkhoñ  kā  mudda.ā  tū
muñh  kariye  jis  taraf  ko  so  hī  tirī  taraf  hai
par  kuchh  nahīñ  hai  paidā  kīdhar  hai  a  ḳhudā  tū
aatī  ba-ḳhud  nahīñ  hai  bād-e-bahār  ab  tak
do  gaam  thā  chaman  meñ  Tak  naaz  se  chalā  tū
kam  merī  aur  aanā  kam  aañkh  kā  milānā
karne  se  ye  adā.eñ  hai  mudda.ā  ki  jā  tū
guft-o-shunūd  aksar  mere  tire  rahe  hai
zālim  muaaf  rakhiyo  merā  kahā-sunā  to
kah  sāñjh  ke  muue  ko  ai  'mīr'  roiiñ  kab  tak
jaise  charāġh-e-muflis  ik-dam  meñ  jal  bujhā  to