fikr  hai  maah  ke  jo  shahr-badar  karne  kī
hai  sazā  tujh  pe  ye  gustāḳh  nazar  karne  kī
kah  hadīs  aane  kī  us  ke  jo  kiyā  shādī  marg
nāma-bar  kyā  chalī  thī  ham  ko  ḳhabar  karne  kī
kyā  jalī  jaatī  hai  ḳhūbī  hī  meñ  apnī  ai  sham.a
kah  patañge  ke  bhī  kuchh  shām-o-sahar  karne  kī
ab  ke  barsāt  hī  ke  zimme  thā  aalam  kā  vabāl
maiñ  to  khaa.ī  thī  qasam  chashm  ke  tar  karne  kī
phuul  kuchh  lete  na  nikle  the  dil-e-sad-pāra
tarz  sīkhī  hai  mire  TukḌe  jigar  karne  kī
un  dinoñ  nikle  hai  āġhushta  ba-ḳhūñ  rātoñ  ko
dhun  hai  naale  ko  kaso  dil  meñ  asar  karne  kī
ishq  meñ  tere  guzartī  nahīñ  bin  sar  paTke
sūrat  ik  ye  rahī  hai  umr  basar  karne  kī
kārvānī  hai  jahāñ  umr  aziiz  apnī  'mīr'
rah  hai  darpesh  sadā  us  ko  safar  karne  kī