ġhair  ne  ham  ko  zab.h  kiyā  nai  tāqat  hai  nai  yaarā  hai
is  kutte  ne  kar  ke  dilerī  said-e-haram  ko  maarā  hai
baaġh  ko  tujh  bin  apne  bhā.eñ  ātish  dī  hai  bahārāñ  ne
har  ġhuncha  aḳhgar  hai  ham  ko  har  gul  ek  añgārā  hai
jab  tujh  bin  lagtā  hai  taḌapne  jaa.e  hai  niklā  hāthoñ  se
hai  jo  girah  siine  meñ  us  ko  dil  kahiye  yā  paara  hai
rāh-e-hadīs  jo  Tak  bhī  nikle  kaun  sikhā.e  ham  ko  phir
rū-e-suḳhan  par  kis  ko  de  vo  shoḳh  baḌā  ayyāra  hai
kaam  us  kā  hai  ḳhūñ-afshānī  har-dam  terī  furqat  meñ
chashm  ko  merī  aa  kar  dekh  ab  lohū  kā  favvāra  hai
baal  khule  vo  shab  ko  shāyad  bistar  naaz  pe  sotā  thā
aa.ī  nasīm-e-sub.h  jo  idhar  phailā  ambar  saarā  hai
kis  din  dāman  khīñch  ke  un  ne  yaar  se  apnā  kaam  liyā
muddat  guzrī  dekhte  ham  ko  'mīr'  bhī  ik  nākāra  hai