ḳhuub  the  ve  din  ki  ham  tere  giraftāroñ  meñ  the
ġham-zadoñ  andoh-gīnoñ  zulm  ke  māroñ  meñ  the
dushmanī  jaanī  hai  ab  to  ham  se  ġhairoñ  ke  liye
ik  samāñ  sā  ho  gayā  vo  bhī  ki  ham  yāroñ  meñ  the
mat  tabaḳhtūr  se  guzar  qumrī  hamārī  ḳhaak  par
ham  bhī  ik  sarv-e-ravāñ  ke  nāz-bardāroñ  meñ  the
mar  ga.e  lekin  na  dekhā  tū  ne  ūdhar  aañkh  uThā
aah  kyā  kyā  log  zālim  tere  bīmāroñ  meñ  the
shaiḳh-jī  mindīl  kuchh  bigḌī  sī  hai  kyā  aap  bhī
rindoñ  bāñkoñ  mai-kashoñ  āshufta  dastāroñ  meñ  the
garche  jurm-e-ishq  ġhairoñ  par  bhī  sābit  thā  vale
qatl  karnā  thā  hameñ  ham  hī  gunahgāroñ  meñ  the
ik  rahā  mizhgāñ  kī  saf  meñ  ek  ke  TukḌe  hue
dil  jigar  jo  'mīr'  donoñ  apne  ġham-ḳhvāroñ  meñ  the