laḌ  ke  phir  aa.e  Dar  ga.e  shāyad
bigḌe  the  kuchh  sañvar  ga.e  shāyad
sab  pareshāñ  dilī  meñ  shab  guzrī
baal  us  ke  bikhar  ga.e  shāyad
kuchh  ḳhabar  hotī  to  na  hotī  ḳhabar
sūfiyāñ  be-ḳhabar  ga.e  shāyad
haiñ  makān  o  sarā  o  jā  ḳhālī
yaar  sab  kuuch  kar  ga.e  shāyad
aañkh  ā.īna-rū  chhupāte  haiñ
dil  ko  le  kar  mukar  ga.e  shāyad
lohū  āñkhoñ  meñ  ab  nahīñ  aatā
zaḳhm  ab  dil  ke  bhar  ga.e  shāyad
ab  kahīñ  jañgaloñ  meñ  milte  nahīñ
hazrat-e-ḳhizr  mar  ga.e  shāyad
be-kalī  bhī  qafas  meñ  hai  dushvār
kaam  se  baal  o  par  ga.e  shāyad
shor  bāzār  se  nahīñ  uThtā
raat  ko  'mīr'  ghar  ga.e  shāyad