dil  par  ḳhuuñ  hai  yahāñ  tujh  ko  gumāñ  hai  shīsha
shaiḳh  kyuuñ  mast  huā  hai  to  kahāñ  hai  shīsha
shīsha-bāzī  to  tanik  dekhne  aa  āñkhoñ  kī
har  palak  par  mire  ashkoñ  se  ravāñ  hai  shīsha
rū-safedī  hai  naqāb-e-ruḳh  shor-e-mastī
rīsh-e-qāzī  ke  sabab  pamba-dahāñ  hai  shīsha
manzil-e-mastī  ko  pahuñche  hai  unheñ  se  aalam
nisha-e-mai-balad  va  sañg-e-nishāñ  hai  shīsha
darmiyāñ  halqa-e-mastāñ  ke  shab  us  kī  jā  thī
daur-e-sāġhar  meñ  magar  pīr-e-muġhāñ  hai  shīsha
jā  ke  pūchhā  jo  maiñ  ye  kār-gah-e-mīnā  meñ
dil  kī  sūrat  kā  bhī  ai  shīsha-garāñ  hai  shīsha
kahne  laage  ki  kidhar  phirtā  hai  bahkā  ai  mast
har  tarah  kā  jo  tū  dekhe  hai  ki  yaañ  hai  shīsha
dil  hī  saare  the  pe  ik  vaqt  meñ  jo  kar  ke  gudāz
shakl  shīshe  kī  banā.e  haiñ  kahāñ  hai  shīsha
jhuk  gayā  dekh  ke  maiñ  'mīr'  use  majlis  meñ
chashm-e-bad-dūr  trahdār  javāñ  hai  shīsha